Search This Blog

Thursday, April 19, 2012

Maang lo Aal-e-RASULALLAH sallallahoalaihwasallaM se

Allah Humma Sale Ala Saiyyidina Wa Mawlana Muhammadin Wa Ala Alihee Wa Sa'hbihee Wabarik Wasali

Mera hussain baagh-e-nabuwat ka phool hey
Haydar kee is main jaan hey khoon-e-batool hey

Aesee azeem zaat hey aaqa hussain kee
Jis kayliyay huzoor kay sajdon main tool hey

Duniya main aur kaun hey shabir kay siwa
Aesa sawaar jis kee sawaree rasool hey

Aal-e-nabi ka pyar hey iman kee zindagi
Un say naheen hey pyar to sab kuch fazool hey

Jo jee main aeye un kay gharanain sey maang lo
Malik yeh sab jahan kee aal-e-rasool hey