Search This Blog

Thursday, April 19, 2012

Humne Seenay main

Ham nain seenay madina youn basa raka hey
Aqs dil gumbad-e-khazra ka bana raka hey

Waar doon jaan mein tauha kee haseen ankon par
Donon alam ko hee deewana bana raka hey

Bas usee zaat sey hey donon jahaan main ronak
Ik Muhammad kay siwa duniya main kiya raka hey

Qufr hey gar to kahey murda merey aaqa ko
Wo to zinda hein faqat pardah gira raka hey

Sar katta kar jo tilawat be kiya kartay hein
Jin ko qur'aan merey aaqa nain parha raka hey

Aa hee jaatay hein wo deewanon sey milnain ko sameer
Bas isee aas pey darwaza kula raka hey