Search This Blog

Wednesday, December 7, 2011

Manqabat - Waqiya-e-Shahadet Hazrat Imam Hussain(RadiAllahanhu)

Jab sab shaheed ho gey koi nahin raha
SHABBIR ne ye ZAINAB e dilbaar se kaha
"Sunlo tum apne bhai ki ek baat Aakhri
Pyaari behen he ab yeh mulaqat Aakhri

Ham ja rahay hain jaan lutaane ke wastay

Bachpan ka ek vada nibhane ke waastay
Rakhna khayal tum mere bimar laal ka
He Imtihaan Aaj MUHAMMED(SallallahoalaihwasallaM) ki Aal ka"
Sun kar yeh baat ansoo Behen ke nikal pade,
SHABBIR jaan dene ko maqtal mae chal pade!

Ye housla Rasool
(SallallahoalaihwasallaM) ke NOOR-e-Nazar ka hai,
Wallah kya kaleja ALI ke pisar ka hai,
Pahuche HUSSAIN fauj-e-sitamgar ke samne
Farmaya ja ke AAP ne lashkar ke samne

Sab jaante ho mujh ko mai SIBT-E-RASUL
(SallallahoalaihwasallaM) hun,
Sher-e-Khuda ka laal hun IBN-E-BATOOL hun,
Tum paani band kar ke jo khush ho yeh bhool hai,
Sabr-o-Raza toh AAL-E-NABI
(SallallahoalaihwasallaM) ka Usool hai
Razi hun usi pe Jo marzi Khuda ki hai
Marzi he jo khuda ki wo hi Mustafa
(SallallahoalaihwasallaM) ki hai

Ae Zalimo khudara sadaqat se kaam lo,

Mauka he ab bhi Daaman-e-SARKAR(SallallahoalaihwasallaM) thaam lo,
Warna baha ke khoon mera kuch Na paoge,
Marne ke baad seedhe jehannum mae jaoge"

Samjhaya har tarah unhe pyase Imam ne

Maani Na unki baat magar fauj-e-shaam ne
Aaya taras na unko Muhammad
(SallallahoalaihwasallaM) ke chaen par
Charon taraf se tut parray wo HUSSAIN par

Ghera SHAH-E-MADINA ke pyaase ko es tarah

Zakhmi kiya NABI(SallallahoalaihwasallaM) ke nawase ko es tarah
kay, tapti hui zameen per gira SAYYEDA ka LAAL,
Farmaya "ho qabool Ae Rab-e-Zuljalaal"
Qurbaani yeh Husain ki hai Ibn-e-Batool ki
Mehshar mae bakhsh de tu ummat Rasool
(SallallahoalaihwasallaM) ki

AMEEN ALLAHUMMA AMEEN