Search This Blog

Thursday, December 15, 2011

Naat Sharif - Wasiley se maango

Der-e-MUSTAFA(SallallahoalaihwasallaM) par Salike se maango,
Nigaahein Jhuka kar Karine se maango.

Talab se bhi Zyada milega Yahan se,
magar maango Sacche Aqide se maango.

Karo Pesh pehle DARUD`on ka Tohfa,
Phir AAQA(SallallahoalaihwasallaM) ke Der par Tariqe se maango.

Khuda ki Kasam bhar ke jaoge Jholi,
Tum Aal-e-NABI(SallallahoalaihwasallaM) ke Wasiley se maango.

Milega Tumhe Aaj AUSAAF Behad,
Tum Murshid ke Der ke Dariche se maango.

Naat Sharif - Didar Salamat BaShad

Aapka Gumbad-O-Minaar Salamat BaShad,
Uspe yeh Barish-e-Anwaar Salamat BaShad.

Dil yahan Noor se PurNoor hue jate hain,
Aapka yeh Hasin Darbar Salamat BaShad.

Eske Zarrat se Roshan hai Zibine kitni,
Aapki Khaake Pa Sarkar(SallallahoalaihwasallaM) Salamat BaShad.

Maal-O-Zar ki Mere Sarkar(SallallahoalaihwasallaM) Mujhe kya Parwah,
Aapka Dast-e-Karam baar Salamat BaShad.

Shoolaye Tur Mubarak ho Tumhein Ae MUSA,
Mujhko Sarkar(SallallahoalaihwasallaM) ka DIDAR Salamat BaShad.

Es Der-e-Paak pe Har Lamha Har Ek Saa`at mae,
Rehmat-O-Nur ki Bochhaar Salamat BaShad.

Maut bhi Aayegi toh Aayegi Rehmat bankar,
Ser pe le Daman-e-Sarkar(SallallahoalaihwasallaM) Salamat BaShad.

Aapka Qurb hai AUSAAF ki Jannat AAQA(SallallahoalaihwasallaM),
Aapka Saaya-e-DIDAR Salamat BaShad.

Naat Sharif - Der-e-Mustafa(SallallahoalaihwasallaM)

Jo Haji Der-e-MUSTAFA(SallallahoalaihwasallaM) dekh Aaye,
Yakinan Wo Shaan-e-Khuda dekha Aaye.

Madina Munawwar hai Noor-e-Khuda se,
Madine mae Noor-e-Khuda dekh Aaye.

Barasti hai Rehmat Der-e-MUSTAFA(SallallahoalaihwasallaM) par,
Muqaddar se Rehmat Qadaa dekh Aaye.

Toh Jalwaa NABI(SallallahoalaihwasallaM) ka hi DIDAR-e-RAB hai,
Woh yun Jalwaa-e-Qibriya dekh Aaye.

Karam ho gaya Jinpe Kya unka kehna,
Woh Jalwaa-e-Khaer-ul-wara dekh Aaye.

Madina hai Kaaba ,Kaaba hai Madina,
Na pucho ke AUSAAF Kya dekh Aaye.

Friday, December 9, 2011

Manqabat - Hazrat Sabir Kalyari Rehmatullahalaih

Shaane toh Shaane Qibriya Noore toh Noore Sarwari,
Makhdum Saabir Kalyari Makhdum Saabir Kalyari.

Jane toh Jane Panjatan Aqse toh Aqse Haidari,
Makhdum Saabir Kalyari Makhdum Saabir Kalyari.

Garke Wisaale Haq ho Tum Shaane Kamaale Haq ho Tum,
Tum pe Aayan Sab Raaz hai Bakhshi hai Haq ne Dilbaari.
Makhdum Saabir Kalyari Makhdum Saabir Kalyari.

Khawaja ke Ghar ki Shaan ho Shahe Qutub ki Jaan ho,
Baba Ganjeshaker ne ki Ataa Tumko Anokhi Rehbari.

Rashke Siraj ho Tumhin Banda Nawaaz ho Tumhin,
Kigiye Aqa kigiye Kigiye Banda Parwari.

Ab Kya koi Sawaal ho Tum toh Sakhi ke Laal ho,
Aaya Jo Der pe Aapke Jholi Usi ki hai Bhari.

Sd Shukr Nisbet Aapki Kismet Khuli AUSAAF ki,
Murshid ke Dum se ho Gaya Chishti Nizaami Saabri.

Wednesday, December 7, 2011

Manqabat - Hazrat Khawaja Gareeb Nawaz(RadiAllahanhu)

Shehshah-e-Shahe Konen ki Taswir hai Khawaja ,
Haqiqat mae Khuda ke Nur ki Tanveer hai Khawaja.

Dayare Hind se Bu-e-Muhabbet Hamko Aati hai ,
Es Farmane RASUL(SallallahoalaihwasallaM) Paak ki Tafsir hai Khawaja.

Es Andaaz mae Hidayet pr PAYGAMBER Rasq karte hain ,
Ba Faize MUSTAFA(SallallahoalaihwasallaM) Hadiya Aalaamgir hai Khawaja.

Pukara Aapko SARKAR(SallallahoalaihwasallaM) ne Hindal Wali Keh kar ,
Khuda rakhe Salaamat HIND ki Tauqeer hai Khawaja.
  
Elahi ho Moinuddin Mera Sab se LaSani ,
DUA Khawaja-e-Usman ki Taasir hai Khawaja.

Musarkhar tab bhi Aalaam tha Musarkhar Ab bhi Aalaam hai ,
Kasam ALLAH ki Woh Sahibe Taskhir hai Khawaja

Chuna Mehbub-e-Akber ne ,Nawaza Rabbe Akber ne ,
Muqadder ke Dhani hai ,Sahibe Taqdeer hai Khawaja.

Sar-e-Mehshar Tamasha dekhna AUSAAF kya hoga ,
Uthega Shor Mehshar mae Hamare Peer hai Khawaja.

Salaam with Dua - Hazrat Imam Hussain(RadiAllahanhu)

Jinko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya
Jinke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya
Jinke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibn-e-Haider Pe Lakhon Salaam

Kaun Shabbir? Woh Jinka Nana Nabi(SallallahoalaihwasallaM)
Jinki Maa Fatima Jinka Baba Ali
Us Hussain Ibn-e-Haider Pe Lakhon Salaam

Karliya Jisne Naush Shahadat Ka Jam
Us Hussain Ibn-e-Haider Pe Lakhon Salaam

Jinka Jhula Farishtey Jhulate Rahe
Lorian De Ke Noori Sulaate Rahe
Us Hussain Ibn-e-Haider Pe Lakhon Salaam

Jisne Nana Ka Wada Wafa Kar Diya
Jisne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya
Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya
Jisne Neze Par Bhi Quran Padh Diya
Us Hussain Ibn-e-Haider Pe Lakhon Salaam

DUA:-
Saqda AAL-E-RASUL(SallallahoalaihwasallaM) ka sadqa
Sadqa JAAN-E-BATUL ka sadqa
Khoon-e-AKBAR ki dhaar ka sadqa
ASGHAR-E-SHEER KHWAAR ka sadqa
Sadqa ZAINAB ki sarr ki chadar ka
Sadqa SHAH ke loote hue ghar ka

YAA ALLAH HAME QARBALA KE SHAHEEDO KE KHOON KA SADQA ATAA KAR, HAMARE IMAAN KO UNKE SADQE MEHFUZ RAKHA! JAB TAK JIYE GULAAMI E SAADAT ME JIYE AUR JAB DUNIYA KOOCH KARE TAB IMAN KE SAATH KOOCH KARE!

AAMEEN BA TUFAIL E AAL E REHMATULIL AALAMIN(SallallahoalaihwasallaM)

Manqabat - Waqiya-e-Shahadet Hazrat Imam Hussain(RadiAllahanhu)

Jab sab shaheed ho gey koi nahin raha
SHABBIR ne ye ZAINAB e dilbaar se kaha
"Sunlo tum apne bhai ki ek baat Aakhri
Pyaari behen he ab yeh mulaqat Aakhri

Ham ja rahay hain jaan lutaane ke wastay

Bachpan ka ek vada nibhane ke waastay
Rakhna khayal tum mere bimar laal ka
He Imtihaan Aaj MUHAMMED(SallallahoalaihwasallaM) ki Aal ka"
Sun kar yeh baat ansoo Behen ke nikal pade,
SHABBIR jaan dene ko maqtal mae chal pade!

Ye housla Rasool
(SallallahoalaihwasallaM) ke NOOR-e-Nazar ka hai,
Wallah kya kaleja ALI ke pisar ka hai,
Pahuche HUSSAIN fauj-e-sitamgar ke samne
Farmaya ja ke AAP ne lashkar ke samne

Sab jaante ho mujh ko mai SIBT-E-RASUL
(SallallahoalaihwasallaM) hun,
Sher-e-Khuda ka laal hun IBN-E-BATOOL hun,
Tum paani band kar ke jo khush ho yeh bhool hai,
Sabr-o-Raza toh AAL-E-NABI
(SallallahoalaihwasallaM) ka Usool hai
Razi hun usi pe Jo marzi Khuda ki hai
Marzi he jo khuda ki wo hi Mustafa
(SallallahoalaihwasallaM) ki hai

Ae Zalimo khudara sadaqat se kaam lo,

Mauka he ab bhi Daaman-e-SARKAR(SallallahoalaihwasallaM) thaam lo,
Warna baha ke khoon mera kuch Na paoge,
Marne ke baad seedhe jehannum mae jaoge"

Samjhaya har tarah unhe pyase Imam ne

Maani Na unki baat magar fauj-e-shaam ne
Aaya taras na unko Muhammad
(SallallahoalaihwasallaM) ke chaen par
Charon taraf se tut parray wo HUSSAIN par

Ghera SHAH-E-MADINA ke pyaase ko es tarah

Zakhmi kiya NABI(SallallahoalaihwasallaM) ke nawase ko es tarah
kay, tapti hui zameen per gira SAYYEDA ka LAAL,
Farmaya "ho qabool Ae Rab-e-Zuljalaal"
Qurbaani yeh Husain ki hai Ibn-e-Batool ki
Mehshar mae bakhsh de tu ummat Rasool
(SallallahoalaihwasallaM) ki

AMEEN ALLAHUMMA AMEEN

Saturday, December 3, 2011

Manqabat - Khawaja Gareeb Nawaaz

Karimaa Karsaaza Badshaha Murshida Khawaja,
Sarapa Noor Noore MUSTAFA Noore Khuda Khawaja.

Gareebo ki Himayet Muflison ka Aasra Khawaja,
Sahara Beqason ka hai Mera HajatRawa  Khawaja.

Gareebo ka Amiro ka Fakiro ka Badshahon ka,
Kabhi Munis Kabhi Waali Kabhi Mushkil Kusha Khawaja.

Na ho kion Naaz Mujhko Mere Khawaja tumhari Azmat pr,
Ke Aap hain Khaas Mehbube Khuda ka Ladla Khawaja.

Dayar-e-Hind ke Haadi Tum Rehmat ka Khajina hai,
Aapka Der Bab-e-Rehmat aur Aap Shah-e-Huda Khawaja.

Abhi tak Aapke Der se Zindagi ki Bhik milti hai,
Hazaron Jee rhe hain Pa ke Aapki Khaake Pa Khawaja.

Wazifa ho gaya AUSAAF ka Har Saans mae Ab toh,
Mera AQA Mera MAULA Mera DAATA Mera KHAWAJA.