Search This Blog

Wednesday, November 30, 2011

Manqabat - Baba Farid Ganjshaker

Baba Farid Ganjshaker Baba-e-Azam,
Khawaja Qutub ke Lakhtey jigar Baba-e-Azam.

Nala Hun Ghum se Aaiye Sarkar Madad ko,
Khawaja Moin ke Noore Nazar Baba-e-Azam.

Zulmat ke Ghata Tope Aandheron se Bacha lo,
Rashqe Siraaj Rashqe Qamar Baba-e-Azam.

Sarkar Haqiqat mae Woh Kismet ka Dhani hai,
Mil jaaye Jisey Aapka Der Baba-e-Azam.

Khawaja Moin Khawaja Qutub ke Tufail mae,
AUSAAF pr ho Khaas Nazar Baba-e-Azam.